dar-e-mustafa pay akay zra damin tu phala
dono jahan ki naimtain day ga tujay khuda
tuj pe karam ki barkhaa daikh aye jahan sara
gher mein rasool paak ki mehfil zara saja
mehfooz tu rahay ga khatroon say khail ker
tuj say rahay gi door her ik tere bala
bigri banee hazaroon ki uss der per pochench ker
ansoo baha kay ankh say tu bhi tu ker dua
maalik hain do jahan kay ky kiss ko khabar nahi
pher keyun batak raha hai uss der pay day sada
fermaya kudh khuda nay uss mein tu shak nahi
do no jahan hi unka sadqa rahay hain khaa
manzoor kamli walay kay jo der pay ho gaya
per uss kay sar her ghari rehmet ki hai ghata
nasir hai jin kay laboon per ziker mustafa
guzray gi un laboon ko pher choom kay hawa..
No comments:
Post a Comment